Ajaykumarprajapati 30 Mar 2023 कहानियाँ दुःखद Kalu aur uski bibi 32736 0 Hindi :: हिंदी
Part 1 Dosto mera naam Ajay Kumar hai mai utar pardesh ka rahne wala hu Dosto Maine ye kahani ak garib kisan ke jindgi ke bare me likhi hai agar isme koi galti ho to aap sab mujhe apna Bhai ,apna beta samajhkar maf kar dena Is kahani ki suruaat 1 January 1989 ko Hui thi Ye kahani sultanpur ke ak garib kisan kalu ki hai jo badi mushkil se apna ghar chala raha tha jiske bachhe nahi the ak din o kisan subah subah hi hal lekar khet me chalane ke liye chala gaya O jab khet me hal bailo ke sath nadh diya aur upar ki taraf dekh hath jodkar prarthana Kiya ki he prabhu Mai anpad gawaar hu mujhe kisi bat ki samajh nahi hai meri madad karna itna kahkar o hal chalane laga hal chalate chalate usko subah se dopahar ho gayi magar uska Kam khatam nahi ho raha tha aur us kadak dhup me hal chalate -chalate o pyash ke mare behosh ho gaya aur ohi gir gaya uske dono bail thak chuke the kadak dhup ki vajah se sab Ghar ki taraf ja rahe the magar kalu vahi behosh pada tha kyo ki usko pyash lagi thi magar dur dur tak kahi Pani nahi dikh Raha tha jisse uski pyash bujh sake tabhi ak chamtkar hua jo bail hal ke sath me lage the unme se ak ne kalu ke pass aakar gobar Kiya aur jab pesab karna tha usko to kalu ko apne pav ke bich me karke o bail peshab karne laga jiske chhite kalu ke muh me jata gaya aur kalu ko hos aagya jab o hos me hua to apne bail ko aisa karte dekh uske aakho me aashu aa gaye usne apne bail ke mathe ko chuma aur uske gale se lipat Gaya Aur apna hal aur dono bailo ko lekar o apne ghar ki Taraf chal diya Ghar pahuchkar usne dono bailo ko achhi tarah nahlaya aur unko khane ke liye chara diya jab uski bibi ne puchha ki aap itna der se kyo aaye to kalu ne apni bibi ko khet ki sari ghatna bata di kalu ki baat sunkar uski bibi bahut dukhi Hui aur pyar se dono bailo ko apne hatho se sahlane lagi aur apne pati kalu se boli mai Inka naam rakhna chahti hu to kalu khushi se haste huye bola ki ye to bahut achhi bat hai bhagywan ki tum Inka naam rakhna chahti ho rakho achha naam sochi ho tab kalu ki bibi boli ha ji mai n Inka naam Hari dev rakha hai aaj se ye mere do bachhe hai kya hua mere bachhe nahi hai to mai n inko hi apna beta manugi yah kahkar rone lagi tab kalu bola ki bachhe Dena to bhagwan ke hath me hai unki kripa hogi to kisi n kisi din hamari jhopdi me ujala jarur hoga itna kahkar o apne bibi ko gale laga liya aur bola ki ab roti rahogi ya kuchh khane ko bhi dogi mujhe bahut joro ki bhukh lagi hai mujhe tab uski bibi boli ha ji abhi lati hu aap hath muh dhokar baith jaiye itna kahkar o andar gayi aur roti aur pyaj namak lekar aayi aur boli Ghar me iske siva kuchh bhi nahi hai tab kalu apne bibi ki bat sunkar bola vahi do bhagywan jab naseeb me namak roti likha hai to dal roti kaha se aayega itna kahkar o khana khane laga tabhi usko yad aaya ki bhagywan apne bachho ko to kuchh bhi nahi di ho thoda unhe bhi khila do itna sunkar kalu ki bibi boli ha ji abhi khilati hu aur andar se do roti lekar dono ko ak ak roti khila di